Milna tha ittifaq bichhadna naseeb tha | मिलना था इत्तिफ़ाक़ बिछड़ना नसीब था

by Anjum Rehbar
Milna tha ittifaq bichhaḍna naseeb tha
woh utni door ho gaya jitna qareeb tha .!

Main us ko dekhne ko tarasti hi rah gayi
Jis shaḳhs kī hathelī pe merā nasīb tha .!

Basti ke saare log hi aatish-parast the
ghar jal raha tha aur samundar qareeb tha .!

Mariyam kahan talaash kare apne khoon ko
har shaḳhs ke gale mein nishan-e-saleeb tha .!

Dafna diya gaya mujhe chaandi ki qabr mein
maiñ jis ko chaahti thi woh laḍka ghareeb tha .!!

मिलना था इत्तिफ़ाक़ बिछड़ना नसीब था
वो उतनी दूर हो गया जितना क़रीब था।

मैं उस को देखने को तरसती ही रह गई
जिस शख़्स की हथेली पे मेरा नसीब था।

बस्ती के सारे लोग ही आतिश-परस्त थे
घर जल रहा था और समुंदर क़रीब था।

मरियम कहाँ तलाश करे अपने ख़ून को
हर शख़्स के गले में निशान-ए सलीब था।

दफ़ना दिया गया मुझे चाँदी की क़ब्र में
मैं जिस को चाहती थी वो लड़का ग़रीब था।।