Zulf o rukh ke saaye mein zindagi guzaari hai | ज़ुल्फ़ ओ रुख़ के साए में ज़िंदगी गुज़ारी है

by Manzar Bhopali
Zulf o rukh ke saaye mein zindagi guzaari hai
dhoop bhi humari hai chhanv bhi humari hai .!

Ġham-gusar chehron par aitbaar mat karna
shahar mein siyasat ke dost bhi shikari hai .!

Moḍ lene waali hai zindagi koi shayad
ab ke phir hawaaon mein ek beqarari hai .!

Haal khoon mein dooba hai kal na jaane kya hoga
ab ye khauf-e-mustaqbil zehn zehn taari hai .!

Mere hi buzurgon ne sar-bulandiyan bakhshin
mere hi qible par mashq-e-sang-bari hai .!

Ik ajeeb thandak hai is ke narm lahje mein
lafz lafz shabnam hai baat baat pyaari hai .!

Kuchh toh paayenge us ki qurbaton ka ḳhamyaza
dil toh ho chuke tukḍe ab saron ki baari hai .!

Baap bojh dhota tha kya jahez de paata
is liye woh shahzadi aaj tak kunwari hai .!

Kah do ‘meer’ o ‘ghalib’ se hum bhi sher kahte hain
woh sadi tumhari thi ye sadi humari hai .!

Karbala nahin lekin jhooth aur sadaqat mein
kal bhi jung jaari thi ab bhi jung jaari hai .!

Gaanv mein mohabbat ki rasm hai abhi ‘manzar
shahar mein humare toh jo bhi hai madaari hai .!!

ज़ुल्फ़ ओ रुख़ के साए में ज़िंदगी गुज़ारी है
धूप भी हमारी है छाँव भी हमारी है।

ग़म-गुसार चेहरों पर एतबार मत करना
शहर में सियासत के दोस्त भी शिकारी है।

मोड़ लेने वाली है ज़िंदगी कोई शायद
अब के फिर हवाओं में एक बे-क़रारी है।

हाल ख़ूँ में डूबा है कल न जाने क्या होगा
अब ये ख़ौफ़-ए-मुस्तक़बिल ज़ेहन ज़ेहन तारी है।

मेरे ही बुज़ुर्गों ने सर-बुलंदियाँ बख़्शीं
मेरे ही क़िबले पर मश्क़-ए-संग-बारी है।

इक अजीब ठंडक है इस के नर्म लहजे में
लफ़्ज़ लफ़्ज़ शबनम है बात बात प्यारी है।

कुछ तो पाएँगे उस की क़ुर्बतों का ख़म्याज़ा
दिल तो हो चुके टुकड़े अब सरों की बारी है।

बाप बोझ ढोता था क्या जहेज़ दे पाता
इस लिए वो शहज़ादी आज तक कुँवारी है।

कह दो ‘मीर’ ओ ‘ग़ालिब’ से हम भी शेर कहते हैं
वो सदी तुम्हारी थी ये सदी हमारी है।

कर्बला नहीं लेकिन झूट और सदाक़त में
कल भी जंग जारी थी अब भी जंग जारी है।

गाँव में मोहब्बत की रस्म है अभी ‘मंज़र
शहर में हमारे तो जो भी है मदारी है।।