Kyon tere saath rahen umr basar hone tak | क्यों तेरे साथ रहें उम्र बसर होने तक

by Rehman Faris
Kyon tere saath rahen umr basar hone tak
hum na dekhenge imarat ko khandHar hone tak .!

Tum toh darwaza khula dekh ke dar aaye ho
tum ne dekha nahin deewar ko dar hone tak .!

Chup rahen aah bharen cheekh uthen ya mar jaayen
kya karen be khabaro tum ko khabar hone tak .!

Hum pe kar dhyan arey chaand ko takne waale
chaand ke paas toh mohlat hai sahar hone tak .!

Haal mat poochhiye kuchh baaten bataane ki nahin
bas duaa kijiye duaaon mein asar hone tak .!

Sag e aawara ki manind mohabbat ke faqeer
dar ba dar hote rahe shehar badar hone tak .!

Aap maalī hain na sooraj hain na mausam phir bhi
beej ko dekhte rahiyega samar hone tak .!

Dasht-e-ḳhamosh mein dam saadhe paḍa rahta hai
paanv ka pahla nishaan rah-guzar hone tak .!

Faani hone se na ghabraaiye faris’ ki hamen
an-ginat martaba marna hai amar hone tak .!!

क्यों तेरे साथ रहें उम्र बसर होने तक
हम न देखेंगे इमारत को खंडहर होने तक।

तुम तो दरवाज़ा खुला देख के दर आए हो
तुम ने देखा नहीं दीवार को दर होने तक।

चुप रहें आह भरें चीख़ उठें या मर जाएँ
क्या करें बे-ख़बरो तुम को ख़बर होने तक।

हम पे कर ध्यान अरे चाँद को तकने वाले
चाँद के पास तो मोहलत है सहर होने तक।

हाल मत पूछिए कुछ बातें बताने की नहीं
बस दुआ कीजिये दुआओं में असर होने तक।

सग-ए-आवारा के मानिंद मोहब्बत के फ़क़ीर
दर-ब-दर होते रहे शहर-बदर होने तक।

आप माली हैं न सूरज हैं न मौसम फिर भी
बीज को देखते रहिएगा समर होने तक।

दश्त-ए-ख़ामोश में दम साधे पड़ा रहता है
पाँव का पहला निशाँ राह-गुज़र होने तक।

फ़ानी होने से न घबराईए फ़ारिस’ कि हमें
अनगिनत मर्तबा मरना है अमर होने तक।।