Is tarah se na aajmao mujhe | इस तरह से न आज़माओ मुझे

by Ali Zaryoun
Is tarah se na aajmaao mujhe : Ali Zaryoun Ghazal

Is tarah se na aajmao mujhe
uski tasweer mat dikhaao mujhe .!

Ain mumkin hai main palat aaun
uski aawaaz mein bulaao mujhe .!

Maine bola tha yaad mat aana
jhooth bola tha yaad aao mujhe .!!

इस तरह से न आज़माओ मुझे : अली ज़रयून ग़ज़ल

इस तरह से न आज़माओ मुझे
उसकी तस्वीर मत दिखाओ मुझे।

ऐन मुमकिन है मैं पलट आऊँ
उसकी आवाज़ में बुलाओ मुझे।

मैंने बोला था याद मत आना
झूठ बोला था याद आओ मुझे।।